Pitaah

Ek Zanaza Ghar Se Nikla dil Talak Hota Hua
Maa Bilakti Sabne Dekhi Deekha Pita Na Rota Hua

Kal Talak Socha Pita Ne Bojha Uthaega Mera
Beta Rakh Hone Chala kandhe Pita ke Hota Hua

Jab Kabhi Thokar lagi baap Uth Khada Hua
Aaj Vo behosh Tha Bete Ko Aag Deta Hua

Charo Dham ki Yatra Beta Karaega Mujhe
Ganga Kinare Dekha Pita Ko Asthiyan Dhota Hua

Kheer Poodi Daan Pandit Sab wahi per Mahol Or
Yaad Aaya Din Janam Ka Bete Ka Jab chotha Hua

Rango Bhare Din The Uske Khushiyon Bhari Ratein Tamam
Udas bahu ka Chehra Na Bhula safed Jode mein Rota Hua


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *