HEIN AZAAD TOH Q NAHIN!?
ek arse se ud ne ka jee karta h…,
kehte hein ve hun azaad….toh q nahin…
samandaro ko paar karne ka, lehron se ladh, paar jaane ka jee karta h…
gar hu azaad jo, q nahin….!?
aas paas khushiyon ko sametkar,
aapno k liye jeene ka jee karta h,
nahin ghulam jo mein toh q nahin..!?
bhula kar saare gile-shikve…aaj fir
jeene ko jee karta h …
hun azaad toh..q nahin…. ?
kali rahein, girte aansoo … khushio ki jagah, q leti hein yahaan
q koi suraj doobjata h ghar ka…
q andheri raatein…andheri kar jati hein galiya…
q nahi koi deepak jala rha h yahaa….
jee karta h, sab jag mag kar du…hata kar sab andhyara yaha…
gar hu azaas toh, q nahin…
dana dana, khoon pasina… insaan ne insaan ko kab h jana…!?
khoon khoon ki hai ladai…pasine ki bhi toh kadar karlo bhai….
q bhookh kisi ko cheer dale…
mere desh m kisi ko maar daale.!?je
aaj fir dil se awaaz nikalti h,
bhale bhookh lele meri jaan… zamir mera chhin na paye…!
kehta hein log, hun m azaad …
toh q nahin…badaldu apno ki halat…
q na todu m nafrat ki diwaar
hun azaad, toh q nahin…..!?
Gyaan – vigyaan se jodu apno ko….
naye saveri ka intzaar kya…haatho se apne boonu suraj chanda…nahin m hu koi kal ka banda…badal dalu m kal ki tasveer, ankit karu m, hun sur veer…
naya, alag,anokha…kuchh alakh sa, jyotmaye, prakash purn…naya ho bharat…ho prakhar…!
saath saath …rahe haatho m haath…kal ki aur badhein…hum azaad…
gar, hum hein azaad toh q nahin!?!.
Leave a Reply