Mera yaar woh

Mitti tujhe bulati hai,
Yaad teri jab aati hai,
Tere bina in aankhon mein
Ab neend kahan bhi aati hai..
Har pal uska khyal sataye,
Sabko hai yaad woh aaye.
Aisa hai mera yaar woh,
Uske liye na koi bol hai,
Uska na koi mol hai,
Wo to sabse anmol.
Mera yaar wo.
Dil ka tukda hai who anokha.
Milne ka mil jaye ek moka
Gale se laga lunga mere yaar ko.
Dard hai uske mai kisi ki judaai ka,
Jo chupaye na chupta hai ,
Desh ke liye woh toh har dard se guzar pdta hai .
Seema par maa ki yaad aaye,
Photo dekh kar khush ho jaye,
Gum ko bhula de jo mera yaar
Woh.
Woh hai ek aisa sitara
Jo hai nahin kisi se hara
Yaad rakh le na mere yaar oo
Papa ko uske dar ek sataye,
Kya pata uska agla pal na aaye.
Tab bhi garv se bheje mere yaar ko.
Pyaar ko apne bhool gaya
Icchaiyen apni jo leel gaya
Har akele pan ko seh gaya
mera yaar woh
Jaan ki lagi thi jab
Baazi
Mera Yaar hua tha tb bhi raazi,
Maut ko jisne takkar dia,
Mera yaar woh


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *