Haa ma darta hu,
Par pyaar bahut tujhe mein karta hu..
Mat bat kr bhrose ki,
Jo khud se zyada tujhpe mein karta hu…
Koi cheen le na tujhe mujhse,
Bas is baat pe akar mein darta hu,
Par pyaar bht tujhe ma karta hu..
Aazadi teri ha khushi meri,
Tujhe udne se kabhi inkaaar na krta hu..
Magar,
Magar,
Ik bat yad rakh kar udna ke,
Kai bethe hain in rahon mein,
Pehle se tujhpe apna nishana sadhee,
Keeee, kai bethe ha in raho me,
Pehle se tujhpe apna nishana sadhee.
Isliye
Koi gira na de tujhe un unchaiyo se,
Yuu dekh ke havas ki nigaho se..
Na gherle koi shikanje me,
Jhuthe dhakoslo ke panje me..
Bas isi bat se ma darta hu,
Par tujhe pyar bht mein krta hu…
Chup chup ke tujhpe nigah rakhna ho,
Yan baton baton pr tujhe takna ho..
Chup chup ke tujhpe nigah rakhna ho,
yan baton baton pr tujhe takna ho..
Kisi or se kar batein tujhe,
Kisi or se kar batein tujhe,
dekh kar mera jalna ho,
Isse kabhi yeh na samajhna tum,
Isse Mat samajhna ke tujhpe shak mein krta hu…
Haa ma darta hu,
kyunki tujhe pyaar bahut mein karta hu.
Maa- Baap ho ya Bhai- behan
Nana-nani ho ya koi Sachaa DoSt,
Chand palo ke in rishton se,
Puchle chahe in farishton se,
Ke haal kya ha tere bina mera,
Ke haal kya hai tere bina mera,
Bin pani ke ho machli jaise,
Kahi ulajh na jaye in rishto ke jhuthe janjaal me tu.
Bas isi bat se ma darta hu,
Par tujhe pyaar bahut mein karta hu.
Ant me
(Shayari me bhi ek choti shayari arz hai)
ik roz aazzan krte hue khuda ne mujhse pucha..
Ki kyu krun dua ma kabul teri, jiske liye tu fariyad krta ha
Ki kyu kru dua ma kabul teri, jiske liye tu fariyad krta ha
To mane bhi zid me keh diya
ki mat itrao apni dariyadili pr tum,
Ki mat itrao apni dariyadili pr tum.
Yehi vo fariyad ha jis vja se ye bnda tujhe yad krta ha..
Leave a Reply